Paytm KYC Complete Guide | Best Trick In 2020

Hello Doston Aaj Mai Aapko Batane Jaa Rahe Hu Ki PayTm KYC Kaise Kare Jo Ki Aaj Ke Time Me Karne Me Kafi Dikkat Hoti Hai Logo Ko, Dosto Paytm Wallet ki Ye Information Aapke Liye Kafi Madadgar Sabit Ho Sakti Hai.

Namaskar Dosto Mera Naam Hai Gaurav Aur Aap Aaye Hain “Tech Variation” Ke Blog Section Me Jaha Mai Aapko Daily Update Me Tech Se Related Matalab Ki Kisi Bhi Application Ke Baare Me Baariki Se Samjhata Hu.

hamare Post Ke Maadhyam Se Aap Har Chij Ko Baariki Se Samajh Sakte Hain Yaa Fir Niche Ek Video Diyaa Huaa Hai Jo Ki Hamaare YouTube Channel Ka Hai Jahaan Par Aap Puri Detail Ke Saath Dekh Sakte Hain Paytm Money Application Ke Baare Me !!

Paytm KYC Complete Guide In 2020

Aaj Ham Aapko Bataaange Ki Paytm KYC Kaise Kar Sakte Hain?

To Dosto Mai Aapko Bataa Du Ki Bahut Hi Aasaan Tarike Se Aap Paytm Wallet Ki KYC Kar Sakte Hain Aur Jaisaa Ki Ham Sab Jaante Hain Ki Pahle Paytm Money App Par Aapko Bahut Hi Aasaan Tarike Se Paytm Wallet KYC Kaa Option Mil Jata Tha Par Ab Wo Option waha Par Nahi Hai To Is Wajah Se Hame Paytm Money App ki KYC Karne Me Kafi Dikkat Aati Hai To Aaj Ham Aapko Batayenge Ki Kya-Kya Karna Hoga Aur Saare Procedure Ko Bhi Achchhe Tarike Se Samjhayenge।

Iske Baare Me Jaankaari Ke Liye Aapko Niche Diye Gaye Saare Instruction Ko Dhyaan Se Last Tak Padhnaa Hoga.

Paytm Business App ko Download kaise Kare

Step.1:- PAYTM KYC Ke Liye Sabse Pahle Aapko Apne Phone Me PayTm Money App Open Karna Hoga

Step.2:- Paytm Money App Khulne Ke Baad Aapko Upar Diye Gaye 3 Dot Pe Click Karna Hoga Uspe Aapko Click Karna Hoga |

Step.3:- Us 3 Dot Ke Open Hone Ke Baad Aapko Bahut Saare Options Milenge Jisme Se Aapko 24×7 Help Ko Dhundh Kar Us Option par Click Kar Ke Open Karna Hoga |

Step.4:- 24×7 Help Option Ke Open Hone Ke Baad Aapke Saamne Ek Naya Screen Open Hoga Jaha Bahut Saare Options Aapko Milenge | Aapko Waha More Products & Services Dikhegaa Aapko Uspe Click Karnaa Hoga | Iske Open Hote Hi Aapko Bahut Sare Option Milenge Aur Yaha Par Apko Usi Me Se Ek Option Hai Profile&KYC Ka Jispe Aapko Click Kar Ke Open Karna Hogaa.

paytm kyc

Paytm Careers App Ko Install kaise Kare

Step.5:- Us Page Ke Khulte Hi PayTm KYC Me Aapko Bahut Saare Option Milenge Jahaan Ek Option Select Karna Hoga Jo Ki Hain ” i am unable to locate KYC icon to place a KYC request” Is Option Ko Aapko Select Karnaa Hain Jiske Baad Ek Naya Screen Aapke Mobile Phone Par Khulegaa |

Step.6:- Uske Open Hote Hi Aapko Bahut Se Option Milenge Jaise Ki i want mini- kyc, i want full KYC Aur Fir In Dono Option Ke Niche Aapko Ek Tisra Option Dikhegaa “i want to request home visit for KYC” Jispe Aapko Click Karna Hoga |
Is Options Pe Click Karne Ke Baad Aapko Back Karna Hoga Aur Fir Upar Diye Gaye Full-KYC Options Pe Click Kar Use Open Karna Hoga Uske Baad Aap Dekhenge Ki Aapko Waha Niche Me Message Us Ka Option Dikhegaa |

Step.7:- Us Option par Click Karte Hi Aapko Apni Problem Likhni Hogi Waha Ke Discription box Me |

Yaad Rahe Ki Aapko Problem Yah Likhni Hai Ki Aap Apne Pasytm wallet ki KYC Ke Liye Proceed Karnaa Chaahte Hain Lekin Aapkaa Continue Nahin Ho Rahaa Aur Uske Liye Aapko Request Karnaa Hogaa |

Paytm Wallet or Paytm Money App Ke Benefit

👇🏻👇🏻Send This Message 👇🏻👇🏻

I Unable Paytm Kyc To Do My Paytm Kyc Because Whenever I Do Paytm Kyc I Will Show A Pop That Something Went Wrong Literally I Trying To Much Days For Paytm Kyc But I Unable Paytm Kyc That I Want A Servicr For Paytm Regarding Paytm Wallet Full Kyc Pleasr Complete My Full Paytm Kyc.

Itnaa Karne Ke Baad Aapko Niche Diye Gaye Send Ke Option Par Click Kar Ke Use Send Karnaa Hogaa। Uske Baad Dosto Wo Message PayTm Business Waalo Ke Paas Chalaa Jaayegaa Phir Uske Baad 2 Din Ke Andar PayTm Ke Costumer Care Ke Log Me Se Koi Aapke Ghar Par Aakar Aapkaa KYC Kar Denge।
To Doston Yeh Bahut Hi Simple Step Hain Jise Follow Karne Ke Baad Aap Apne PayTm Wallet Ki KYC Kar Sakte Ho Wo Bhi Ghar Par Baithe-Baithe |

paytm kyc

अगर आपको हमारा यह ब्लॉग पसंद आए और आप चाहते हैं हमारे Blog पोस्ट से जुड़े रहना तो नीचे में आपको हमारी सोशल साइट्स के लिंक दिए हुए हैं आप चाहे तो हमें वहां पर भी Follow कर सकते हैं जहां मैं आपको Regular Updates देते रहता हूं हमारे YouTube Channel और Tech Variation Website से रिलेटेड जहां पर आपको नए-नए एप्लीकेशन के बारे में पता चलता रहेगा तो उम्मीद है दोस्तों आपको या Blog बहुत ही पसंद आया होगा

धन्यवाद !!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *